Ek saal ka safar pura hua aaj..
Betein Waqt ki reth par tum sab ke nishaan dekhe..
Kuch mand mand se muskurate hue..
Kuch namm namm se bheegey hue..
Kuch lehron ke maar se mith se gaye hai..
Kuch aaj bhi utaney hi gharein hai..
Kuch nanhe-nanhe nazook se hai..
Kuch meethe-meethe bavook se hai..
Kuch nayi rahon par murd gaye hai..
Kuch bheed main kahin kho se gaye hai..
Kuch apni pehchaan se anjaan se hai..
Kuch jaane kyo hairan pareshan se hai..
Kuch shararton main doobey hue hai..
Kuch khamosh se simatey hue hai..
Kuch abhi abhi chal pade hai..
Kuch chalte -chalte thak se gaye hai..
Kuch roothey hue se lagte hai..
Kuch mananey main lage hai..
Sab bhikare hai, kuch door kuch pass hai..
Par phir bhi sab ek saath se hai ..
Sab musafir hai mere safar ke..
Mere Apne hai ab anjaan nahi..
Kuch kadam hi to chale hai abhi..
Yuh tufaano se darna hai nahi..
Mera haath pakar kar chalna hai abhi..
Sunahre panno par bas likhna hai yahi..
Ek saal nahi , kayi sadiyon ka safar tah karna hume…
P.s. This I wrote on Writer's Lounge when we celebrated it's first anniversary.WL has motivated me a lot,I really bow down and feel great to be a part of it.Thanks WL n all loungers for your encouragment,this is just like a part of me now.